Assalamualaikum O Rehmathullahi O Barakatuhu
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 1⃣
▪Tayam-mum
mein 3 farz hai.
★ Niyat karna.( iraada )
★ Saare munh par haath
pherna.
★ Kohoniyon k saath dono
haath ka
masah
karna.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Tayam-mum
ki 10 sunnarein.
★ Bismillah sharif kehna.
★ Haathon ko zamin par marna.
★ Zamin par haath maar kar
lot
dena
matlab..aage badhana
or
piiche lana.
★ Ungliyaan khuli hui rakhna.
★ Haathon ko jhaad lena..dono
haath
k anguthon ki jad se
takrana.
★ Pehle munh par haathon ka
ma-sah
karna.
★ Dono haath k masah aik k
baad
aik
foran karna.
★ Pehle siidhe fir ulte haath
ka
masah
karna.
★ Daadhi ka khilaal
karna..matlab gale ki taraf se siidhe haath ki ungliyan dakhil kar k aage ki
taraf nikaalna.
★ Ungliyon ka khilaal karna.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 2⃣
▪Tayam-mum
ka tariqa.
★ Tayammum ki niyyat
karein..matlab ye k.. Wuzu ya ghusl ya dono se paaki hasil karne or namaaz
jaaiz hone k liye tayammum karta hun.
★ Bismillah..Padh kar dono
haathon ki ungliyon ko khub faila dein.
★ Fir kisi paak chiiz k jo
zamiin ki qism se ho..Jaise..Patthar..Chuna...Iinth..Diiwaar..waghaira par dono
haath maar kar lot lijiye..or..
Agar
zyada gard ( dhool ) lag jaaye to jhaad lijiye or usse saare munh ka is tarah
masah karein k koi hissa reh na jaaye..Agar baal baraabar bhi koi jaga reh gayi
to taymmum na hoga.
★ Fir dusri baar isi tarah
haath zamiin par maar kar dono haathon ka naakhun se lekar kohoniyon k sath
masah karein.
★ Iska behtar tariqa ye hai k
ulte haath k anguthe ko chhod kar 4 ungliyon ka pet siidhe haath ki piith par
rakkhein or ungliyon k naakhunon se le kar kohoniyon tak le jaayein or..
Fir
wahan se ulte hi haath ki hatheli se siidhe haath k pet ko malte ( ragadte )
huwe kandhe tak laayein or ulte anguthe k pet se siidhe anguthe ki piith ka
masah karein.
★ Isi tar-tib se siidhe haath
se ulte haath ka karein.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 3⃣
▪Tayam-mum
in chizon se
ho
sakta hai.
★ Jo chiiz aag se jal kar
raakh hoti hai na pighalti hai na narm hoti hai..Wo zamiin ki jins ( type ) se
hai..Usse tayammum jaaiz hai.
★
Raita..Chuna..Surma..Gandhak..Patthar..Zabarjad..Firoza..Atiiq..waghaira
jawaahir se tayammum jaaiz hai..chahe in par gubaar ho ya na ho.
★ Pakki Iinth..Chini yaa
Mitti k bartan se tayammum jaaiz hai..lekin agar in bartanon par aysi chiiz ki
teh chadha di ho jo zamiin ki jins se na ho..Jaise kaanch ka gilit ya teh chadi
ho..To taymmum jaaiz nahi.
★ Jis Mitti ya Patthar
waghaira se taymmum kiya jaye uska paak hona zururi hai.
★ Zamin Diiwaar or Wo Dhool
jo zamin par padi rehti hai..Agar naapaak ho jaye..Fir dhup ya hawaa se sukh
jaaye or naapaaki ka asar khatm ho jaye to paak hai..or us par namaaz jaaiz hai
magar usse tayammum nahi ho sakta.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 4⃣
▪Honth..Anguthi..Ghadi
k masle.
★ Honthon ( lips ) ka wo
hissa jo munh band hone k baad bhi dikhayi deta hai us par masah hona zaruri
hai..Agar munh par haath pherte waqt kisi ne honthon ko zor se dabaa liya or ye
hissa bhinchne ki wajah se masah hone se reh gaya to tayammum na hoga.
★ Anguthi..Ghadi wagaira
pehne hon to utaar kar un k niiche haath pherna farz hai..or aurtein bhi
chudiyan waghaira hata kar un k niiche masah kare..k tayammum ki ahtiyaatein
wuzu se bhi zyada hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 5⃣
▪Tayam-mum
in chizon se
ho
sakta hai.
★ Agar kisi Lakdi..Kapde..ya
Dari ( shatranji ) waghaira par itni dhool hai k haath maarne se ungliyon k
nishaan ban jaye to usse tayammum jaaiz hai.
★ Isi tarah bus k safar mein
agar bhiid zyada hai k na khade ho sake na jaga hai na pani hai to khidki se
hath bus ki body par safar k doraan jo dhuul ki teh jami hoti hai us se bhi
tayammum kar le or ishare se namaaz padh le fir eaadah kare ( M K N )
★ Chuna Mitti ya Iinton ki
diiwaar..chahe ghar ki ya masjid ki ho usse tayammum jaaiz hai.
★ Magar us par Oil
paint..Plastic paint..Met finish..ya Wallpaper waghaira koi aysi chiiz nahi
honi chahiye jo zamin ki jins k siwa ho...Diiwaar par marble ho to koi harj
nahi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 6⃣
▪Tayam-mum
in haalaat mein
Jaaiz
hai.
★ Itni shardi ho k nahane se
mar jaane ya bimaar ho jaane ka qawi andesha ( yaqiin ho ) or ghusl k baad
thand se bachne ka koi saman bhi na ho to tayammum jaaiz hai.
★ Agar ye gumaan hai k paani
talaash karne mein dusre saathiyon se bichhad jayega ( ya train chhut jaayegi )
to tayammum jaaiz hai.
★ Masjid mein so raha tha k
ghusl farz ho gaya to jahan tha wahin foran tayammum karl e yahi ahtiyaat k
qarib hai..aysi haalat mein foran nikal jaye der karna haraam hai.
★ Awrat haiz o nifaas se paak
ho gayi or pani par qudrat nahi to tayammum kare.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 7⃣
▪Tayam-mum
in surton
mein
jaaiz hai.
★ Jiska wuzu na ho ya nahane
ki haajat ho or paani na ho..Chaaron taraf aik aik mile tak na ho..To wuzu or
ghusl k badle tayammum kare.
★ Aysi bimaari k wuzu ya
ghusl karne se badh jayegi ya der mein achchi hogi to in surton mein tayammum
kar sakte hai.
★ Is k liye zaruri hai k koi
musalman doctor jo fasiq ( aelaaniya gunah karne wala ) na ho wo kahe k..Paani
se nuqsan hoga..Ya apna tajruba ho k pehle bhi aysi haalat mein paani se
nuqsan huwa tha.
★ Agar aabe zamzam paas mein
hai or itna hai k wuzu ho jaye to tayammum jaaiz nahi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 8⃣
▪Tayam-mum
in chizon se
tut-ta
hai.
★ Jis par ghusl farz hai us k
liye zaruri nahi k wuzu or ghusl dono k liye do tayammum kare..bl k dono mein
aik hi niyyat karle dono ho jayenge.
★ Jin chiizon se wuzu tutta
hai un se tayammum bhi tut jaata hai.
★ Jin chiizon se ghusl farz
hota hai un se tayammum bhi tut jata hai.
★ Or jayse hi majburi khatm
hogi tayammum bhi tut jayega..Jayse bimari khatm hona..Paani ka mil jaana.
★ Agar awrat ne naak mein
phuul waghaira pehna hon to nikaal le warna phuul ki jaga masah nahi ho sakega.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KUCH
TAYAMMUM K BAARE MEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ 9⃣
▪Tayam-mum
k kuch aur masail.
★ Waqt itna tang..kam reh
gaya k wuzu ya ghusl karega to namaaz qaza ho jayegi to tayammum kar k namaaz
padh le..Fir wuzu ya ghusl kar k namaaz fir se padhna laazim hai.
★ Agar koi aysi jaga hai k
jahan na paani milta hai na tayammum k liye paak mitti to..namaaz k waqt namaaz
jaysi surat banaye..
Matlab
namaaz mein ham jaysi harkatein karte hai wo sab namaaz ki niyyat k baghair
kare..Fir paani ya paak mitti milne par wuzu ya tayammum kar k namaaz padhni
hai.
★ Wuzu or ghusl dono k
tayammum ka aik hi tariqa hai.
Please Note: Uper bataye tarike mein kisi tarah ki galati, ya khami,
ya chook ho gayi ho tho aap please hamein batayen. Ta'aki kisi se
galati na ho.
Dua hai ki Rabbe qadir hamein aur aapko sunnaton per amal karte huea
mukammal tarike se Wazu karne ki taufiq ata farmaye (Ameen)

Categories : 
Madrasat ul Kibar